Qaza-e-Umri (قضاء عمری) namaz ka jo tariqa aksar Ramzan ke akhri Juma ko padhne ka mashhoor hai, uska asal Islam ki shari’at me koi saboot nahi milta.
Qaza-e-Umri ka Maqsad Kya Hai?
Qaza-e-Umri ka matlab hai apni zindagi me chhodi hui namazon ki qaza ada karna. Islam me har balig musalman par namaz farz hai, aur agar koi namaz chhut jaye to uski qaza karni chahiye. Lekin ek hi din ya ek hi namaz ke zariye saari chhodi hui namazen maaf ho jayein, aisa koi saboot Quran-o-Hadith me nahi hai. Hadis me ya aya hai ki Namaz agar chhut jaye ya Nind ke Galbe se Namaz chhut gayi ho to foran yad aajney par Namaz Adaa karein.
Ramzan ke Akhri Juma me Ek Khas Namaz ka Mashhoor Hona aur uskey zariye jindagi bhar ki sari janbuz kar chhodi hui Namaz ka kaffara ho jana.
Kuch log samajhte hain ki Ramzan ke akhri Juma ko ek khaas tareeke se namaz padh lene se sari zindagi ki chhodi hui namaz maaf ho jati hai. Ye baat kisi bhi sahih hadith se sabit nahi hai. Isme Jo bhi rivayat agar pesh ki jati hai wo bilkul manghadat aur batil rivayat hai.
Aalim aur Mufti kya kehte hain?
Aksar ulama ka kehna hai ki har chhodi hui namaz ki qaza farz hai, aur is tarah ek din ki namaz se tamam namazon ka kaffara ada nahi hota. Hadis me aya hai ke Qayamat ke roz agar kisi ki farz namazein kam hui to uski nawafil (sunnat or nafal) namazein mizan me toli jayegi. Isliye Farz namazo ke sath sath Sunnat or Nawafil namazein bhi ada karein.
Baaz Ulma e kiram farmatein hain ki Agar kisi ki namaz chhuti hai aur uski tadad malum nahi hai to wo Toba aur Istighfar karein aur aainda namazein qaza na karein aur agar kisi wajah se chhut jaye to foran hi usey ada kiya jaye. Aur kuchh ka kehna hai ki nawafil namazon ki bajaye Qaza namazein ada karte rahe thodi thodi kar ke jaha tak usko ginti malum ho ya fir jindagi bhar.
Sabak:
Ramzan ke akhri Juma me jo khas qaza-e-umri namaz ka mashhoor tareeqa hai, wo shari’at se sabit nahi. Magar har shakhs ko chhodi hui namazon ki qaza karni chahiye, chahe wo thodi thodi karke hi ho.
Hadees Refrence
Mishkat Sharif 1330 Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ki Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
“Qiyamat ke din sabse pehle banday ke aamaal mein se namaz ka hisaab liya jayega. Agar namaz durust hui to woh falaah aur nijaat paa lega, aur agar namaz kharab nikli to woh nakaam aur nuksaan uthane wala hoga. Agar farz namazon mein koi kami paayi gayi to Allah Ta’ala farmayega: Dekho, kya mere banday ke paas koi nafl namazen hain? Toh farz ki kami ko nafl se poora kiya jayega. Phir baqi aamaal ka bhi isi tarah hisaab hoga.”
Sahih Muslim 1569/684
Hazrat Anas bin Malik (رضی اللہ عنہ) se riwayat hai ki, Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi namaz (padhne ke waqt us) se soya rahe ya us se ghaafil ho jaye, to jab use yaad aaye wo (namaz) padh le. Beshak Allah Ta’ala ne (khud) irshad farmaya hai: Aur meri yaad ke waqt namaz qayam karo.”
Sahih Muslim ki Riwayat hai Mishkat Sharif 569
Hazrat Jabir (رضی اللہ عنہ) bayan karte hain, Nabi (ﷺ) ne farmaya: “(Momin) banday aur kufr ke darmiyan farq namaz ka tark karna hai.” Rawahu Muslim.